Khwaab ki ta'beer

Q: Mufti sahab mujhe meray khawab ki tabeer chahiye. Meray walid ka intiqaal huay ab 3 mahinay ho rahay hai mene pehla khawab un ke intqaal ke baad jo woh yeh hai k walid se meri mulakaat hoti hai aur mein unse poichta hoo k aap kaha chalay gaye, toh walid mery haath mein torch dete hai aur kehtay hai ke ye mujhe gift mila hai aur mein tumhein deta hoo. Mein torch lekar on karta hoo lekin on nahi hota toh walid kehtay hai ke Innalillahi wa inna ilaihi rajeoon parho toh Torch ON ho jaiga. Phir walid aasman ki taraf ishara kartay hain aur kehtay hai k jahaz dekh rahay kaash ye jahaz yaani plane humara hota aur walid ke ankhon se aansoo nikalnay lagtay hai.

Doosra khawab mene yeh dekha ke walid wapis aatay hain apnay kaam ki gari mein aur khana gari se utaartay hain. Toh mein walid se piochta hoo abu cousin ki gari Que khari toh walid mujhe gari ki chaabi dete huay kehtay hai k gari mene li hai 2 ya 3 din k liye mehmano ko hotel se pick karna hai.

A:

1. Aap ke waalid aap ki Deeni haalat se fikarmand he owr wo chahte he ke aap ke zindagi Shari'at ke mutaabiq guzre.

2. Tumhare waalid chahte he ke aap un ku yaad kare are owr un ke lia dua kare. Aap Qur'an Shareef ka kuch hissa par kar ya kuch sadaqah dede owr us ka sawaab un ke lia phonchaade.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels