Q: Kiya aesay kapray jin par napaaki waaly kaprey dhote huwe cheenten pargaye ho un kapron ko bhi aesay hi paak karna ho ga jo sharee tariqa he ya sirf dho le? Me ne aap se pucha tha ke agar napaak kapray ko 3,4 bartan me pare paani se baari baari nikaal liya jaye to kiya paak ho jayen ga. Aap ne farmaya istara shak rahta he paani ko upar se daal diya jaye. Me ne ghar walon se kaha ke paak karne ke tareeky hi se paak ho ga. Unho ne kaha ke teen dafa paani se nikaalne ke bad paak hojate he. Itni dafa jab paani se nikaal liya jaye to konsi napaaki baaqi reh jaati he? Yehi baat me sowchti hu jab itni baar paani se nikaal liya jaye to phir bhi napaaki kesy door nahi hogi khaas kar aesy kapry jin par napaaki waly kapray dhotay huay sirf chheente pare hun. Aap baraaye memerhbaani rehnumai farmaye? Kiya haiz o nifas ke dino me pehne jany wale kapray bhi shar'ee tariqe se paak karnehonge jab ke un par khoon ya napaaki na lagi ho? Kiya hari shalwaar pehen sakte he agar sili gai ho?
A: Usko kam se kam eik martabah paani se bhigode aur khoob nichor karke paani ko nikaalde. Is tarah se ye paak ho jaayega.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: