Q: Muje mere khwabon ki tabeer puchni hain. Mere sasural mein chacha ki maut hogayi due to cancer. Unki deedar mein main shamil nahi hosaki kyunki mera 2 month ka baby hain and main unki ziyarat k faitah k baad ghar wapas aayi. Within a week i'm getting horrible dreams.
1. khawab mein chacha ku dekha k wo kabar mein beite hain - timings around 3-4 clk night 2
. khawab mein meri rooh hain aur thode kale log mujey keench rahe hain aur mein roh(crying) rahi hun kehrahihun k muje chodhdo mera chota sa bacha hain mujey unki parwarish karni hain aur bahut kuch lekin wo log kehrahe hain k ab tumhari dua qubool nahi hongi ab waqt khatam hochuka hamarey saat chalo aur wo mujey zor se dhaka dete hain ek unchi khidki se aur mein ek boat mein jakar padhti hun jo k paani mein khadi hui hain.. wahan par 2 kaley(Black) people boat chala kar lekar jarahey hain aur mi allah se maafi mangti hun aur mujey aisa feel hota hain k meri dua qubool nahi horahihain.meri ammi abba sabki gunahoon ki mafi mangrahi hun. timings at 12'0 clk night.
3. khwab mein dekhti hun k mere leg mein kuch hogaya hain jisme se ek small plant uga hua hain (with 2 green leaves) and im thinking that arey this happened because i am already dead. (timings yaad nahi)
4. khwab mein dekti hun k chacha sofa par beith kar muskurarahe hain muje dekh kar (12 clk night)
5. mere sohar (Husband) k khwab mein jo hospital mein chacha admit hue the usi bed mein mujey dekhte hain. (12 clk night) 6. Aaj subey around 6 clock mere husband ne dekha k khwab mein wo mera haath pakad kar ro rahey hain aur main marchuki hoon. aur sab mere janaze ki namaz padhrahe hain aur main kehti hun k mi yahin hoon aur koi aakar uney kahin lekarjata hain phir kuch teek nazar nahi araha. Mufti saheb please mere ye saarey khwaboon ki tabeer batayeye. Hum bahot pareshan hain. Namaz aur quran bhi padhtey hain. Hamarey liye dua kijiye.
A: 1,4. Un ke lia dua-e-maghfirat kare owr Qur'an Shareef ka kuch hissa par kar ya kuch sadaqah dede owr us ka sawaab un ke lia phonchaade.
2,3,5. Paanch waqt ki namaaz par paabandi kare owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda ka ihtimaam kare. Gunaaho se parhez kare owr neak zindagi guzaar de. Paanch waqt ki namaaz ke ba'd owr sowne se pehle teen qul (Surah Ikhlaas, Surah Falaq owr Surah Naas) owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.
6. Allah Ta'ala tawbah owr neak zindagi guzaarne ki tawfeeq naseeb farmae.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: