Neend se uthne ke ba'd rutoobat dekhna

Q:

1) Maine aapse sawaal kia tha ke jab soti hun tab mujhe neend mein uljan hoti he ke mujhe sirf khiyaal aaten he ya ye ihtilaam he. Aap ne jawaab mein ghusl karne ke liye kahaa tha toh mujhe ye poochna tha ke aisa mere sath taqreeban har roz hota he to kya roz ghusal karna hoga? Mujhe sone mein darr lagta hai ke ihtilaam na ho jaaye aur ghusl karna pare. Me is wajah se roz ghusal karti hun. Shaayad ye waswase ho sakte he kyunke agar koi chota sa bhi khayaal aajaye toh aisa lagta he ke khahin ihtilaam toh nahi ho gaya aur mai ghusl karleti hun. Baraaye meherbaani bataain ke me kya karu? Mujhe neend mein khiyaal aur khwaab ke beech farq hi pata nahi chalta. Pehle aisa nahi tha ye pareshaani mujhe takreeban kuch mahino se ho rahi he.

2) Doosra sawaal maine ye kia tha ke agar khwaab me kisi ghair maharm ko dehken aur tari mahsoos ho, to aapne jawaab me ghusal ke liye kahaa tha mujhe ye poochna he ke agar khwaab me koi shahwaani kaam ho hi na kya tab bhi ghusal karna hoga? Kyunke mujhe aam towr par apne paros ke lowg ya rishtidaar khwaab mein dikh jaaten he.

3) Khawaab me apne saath kisi kareebi rishtedaar ko aasmaan mein udte hue dekhna kaisa hai?

A:

1 - 2. Mahaz rutoobat ke dekhne ko ihtilaam nahi kehte. Kabhi ye rutoobat paseenah ka hota he.

3. Allah Ta`ala sab qisam ke aafaat se bachaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)