Sunnato ka ihtimaam karna

Q: Mujhe apne khuaab ki tabeer pochni thi. Aaj maine ek khwab dehka hai mje yaad nhi time kia tha bas itna pata hai raat 2:30am se 11am k darmiyan dehka hai khawab dehk kr main bht zada khuaf zada hun aur pareshan bhi khuab main maine dehka k main Roza e Rasool SAW pe hoon aur mere sath ek banda aur hai jo mere sath Roza e Mubarak ki marammat kr raha hai muje nahi pata wo banda kon hai bas mere sath marammat kr raha hai Roza e Rasool ki marammat k doran muje kayal aya k main Nabi pak ko dehkun mgr maine dehkne ki koshish nhi ki par phir bhi meri nazar sirf unke Hath Mubarak pe nazar pari jo k bht zada roshan tha mje Hath Mubarak dehk itna idea hogaya tha ye mere piyare Nabi Pak SAW ka Hath hai (mje khuab b sahi se yad nhi) mje nahi pata mere sath wo banda kon tha uska kya maqsat tha. Muslim bhi tha ya nhi mgr wo jese marammat kr raha tha Roza e Mubarak ki esa lag raha tha wo muslim nhi hai koi respect nazar nhi arahi thi us banday k andar Please mje batain main bht zada pareshan hoon subha. meri zindagi ka ye phela khawab hai jisko dehk kr bht zada khuafzada hun.

A: Sunnato ka ihtimaam karo aur sunnat ko wujood me laane ki koshish karo aur jo bad-deen qisam ka log he aur ghayr muslim he unse jahaa tak ho sake door raho aur parhez karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)