Published 8 years ago
Last updated 8 years ago
Q: Meri shaadi ku teen saal ho gaye shadi bas 2 mahine hi rahi. Mere shohar muje chhor kar chale gye waps nahi aaye aur talak bhi nahi de rahe. Teen saal se koi contact nahi he hmara mai apni maa ke paas rahti hu kya mai abhi bhi nikah me shamil hu meri ammi meri dusri shadi krwana chahti h hmari madad krne wala koi nahi he. Please koi masla btaye hme kya krna chahiye?
A: Jab aap ke khaawind ne aap ku talaaq nahi di, to abhi taak aap us ke nikaah me he. Aap apne ilaaqe ke Jamiatul Ulama ke paas jae owr apni pareshaani un ku zikr kare. Tahqeeq karne ke ba'd wo aap ka nikaah faskh karlenge. Phir aap ki iddat guzaarne ke ba'd aap nikaah karsakegi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: