Q: Me bogot pareshaan hu. aajkal ne reshta ata hain or jab ajate hain to pasand nahi krty. Phir sochti hu mere nasib me koi ni huga.Job tu milti ni hain ghr me bet kr depression hugi hain . Khudkhoshi ka buht sochti hu qk parents ni hain bhai k sath rhti hu wo khty hain boj hu hum pr. Me bi tu insan hu koi achi jga reshta hu jy tu zindagi bn jy.
A: Pareshaan hone ki koi baat nahi he. Har cheez apne waqt me hoti he. Insaan ke kaamiyaabi is me he ke wo har waqt Allah Ta'aal ki taraf ruju' kare owr Allah Ta'ala ki taqdeer se khush rahe. Paanch waqt ki namaaz ke ba'd Allah Ta'ala se dua kare ke Allah Ta'ala aap ku neak owr munaasib rishta naseeb farmae. Ye dua bhi namaaz ke ba'd parhe:
رَبِّ إِنِّي لِمَا أَنزَلْتَ إِلَيَّ مِنْ خَيْرٍ فَقِيْر
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: