Sunnat ke mutaabiq har kaam karna

Q: Hume khuwab me ye dikha. Main kisi room me thi jo upr ki taraf second floor per tha. Usme stairs se upar charh ke hazrat Ali radiallahu anhu arab the unhone white libas aur black turban pehan rakhi ti aur kamli ti black clr li shoulder per aur hath me quran e pak tha. Wo room unhonr muje rehene ke liye dia tha aur unhone ye b kaha ki kisi b chiz ki zarurat hoto mujse keh dena ye b kaha ke mere hote huye apka koi bal (hair) bhi baqa ni kar sakta. Itne me wo chale gye and ek khabis muje tang karne agya me usse dar le bhag gyi fr raste me mene mola ali ko awaz di toh wahan ek qabr thi unhone usi qabr ka pata b btaya tha ke wo wahi pas me rehte aur tab uske bad wo khabis b ni dikha khuwab itna hi diikha . Plz iski mujhe tabir btaiye. Aur 2nd khuwab ye h ki unhone mere liye rote huye khuwab me dua b ki mera name leke jb wo lete huye the aur ro rahai the plz iski b tabir btayein.

A: Aap apni zindagi me har kaam me Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki Mubaarak Sunnat ki perwi kare owr ghalat suhbat se parhez kare. Paanch waqt ki namaaz par paabandi kare apne saheeh waqt par owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda ka ihtimaam kare. Rowzana ghar me fazaail-e-amaal owr fazaail-e-sadaqaat ki ta'leem kare owr kuch waqt nikaalde Qur'an Shareef ki tilaawat ke lia.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada