Q: Please meri islaah kijiye. Mera maslah ye he ke mera bachpan se mamu zad se rishta bola hua tha ke hum ek dusre ko pasand karte he or dil dimag me yehi he ke hmari shadi ek dusre se hi hogi. Ghar me sab yehi kehte the. Ab mera us ladke se rishta bhi tey ho gaya. Me bahut educated hu or wo kam pdha likha he or zyada dolatmnd bhi nahi he lekin mujhe iski garaz nhi h pr ab meri ammi ye shadi nhi krna chahti wo kehti h k wo tere layaq nhi h log kya kahege k itna pdha likha kr ese se shadi krdi. M bahut zyada preshan hu kyuki 13 sal se hmare dil dimag m ye bat h k hmari shadi hogi pr ab ye sb. ammi kisi syrat nhi smjhti ghr m behas hoti h. meri umar 29 sal hogyi h ab b ammi ko lgta h k jb koi or acha rishta aayga wha krege hm. Mere abbu ka inteqal ho chuka h or 2 bhai h wo b ammi ki bat ko tarjeeh dete h.. m apni ammi ko dukh nhi dena chahti lekin mera kahi or shadi krne ka b mn nhi krta. plz aap btaiye m kya kru. Slaah dijiy or koi wazaif b btaiye jisse meri preshani hal ho jaye.
A: Ammi ki baat ghalat he. Isko bataaye ke unka soch muslamaan ka soch nahi. Unko chaahiye ke muslamaano ki tarah sochne ki koshish kare.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: