Q: Camera se banai gai tasweer or video ke gunah honay ke pichay ki logic he or ye kahan se sabit he ke camera se banai gai video and pictures gunaah he? Bohat saray mutaqi ulma bhi to atay he tv ma jo har gunah se bachtay hn log un ki waja se bhi ye sab jayez samjtay hn.
A: Shariat me tamaam jaandaar cheezo ki tasweer haraam he. Hadith Shareef me aya ke Qiyaamt ke rowz sab se ziyaada sakt tareen azaab un logo ke upar dala jaega jo jaandaar cheezo ki tasweer khenchte the ya dhekte the. Hum Shari'at ke paaband he. Shari'at ke rooh se jab ye cheeze haraam he, to unka chowrna waajib he. Jo kuch lowg karte he, wo apne af'aal ke mukallaf he. Hum unke af'aal ke mukallaf nahi he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: