Q: Mayra sawal ye hai ke bachpan se main koi bhi kaam karna chaho ya kisi cheez ki chahat karo tu hota nahi hai hai agar koi cheez mujhy mill bhi jaiy to bari hi ruswai ya takleef ke sath milti hai. May samjhti ho ke mere naammujhpe suit nahi karta. Kya may isey change kar sakti ho? Yani koi or naam rakh sakti ho? Is ke ilawa mujhy koi wazifa batain jo may namaz ke sath ada karo jo mere haq may behter ho?
A: Aap ku apne naam badalne ki zuroorat nahi he. Panch waqt ki Namaaz ki paabandi kare aur apni zindagi ko Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat ke mutaabiq guzare. Har waqt zabaan, kaan, dil owr aankh ki hifaazat kare owr gunaaho se aprhez kare. Allah Ta'ala aap ki pareshaaniyo ku door farmaenge.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: