Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne khawab ki tabeer poochni hai. Main ne yeh khwaab subah 8-9:30 time pe dekha hai. Khawab mein hi aik aur khwaab dekha ke main apni behn ke sath kahin ja rahi hoti hon. Woh Bohut ro rahi hoti hai k ussy Quran ki kuch ayaat samajh nahi aati essliye. Main ussy batati hon ke enn aayaat ka matlab kisi ko nahi pata main ussy kuch tafseer batati hon aur example deti hon jesy Quran ke kuch alfaz jesy Noon, laam meem alfaz hain Jin ka matlab Nabi Pak ko bhi nahi bataya Gaya. Enn k matlab humein jannat mein samjhaye Jain gy aur yehi humara jannat mein Allah Ki taraf se gift hoga. Yeh Sab bataty hoye main Bohut ro rahi hoti hon Quran Ki azmat mein. Bolty bolty main kisi khodai wali jagah mein aa jati hon aur samny mery marhom Nana, marhom Mamu aur zinda Bhai Bhai khary hoty hain mery pass aaty hain. Woh Bohut hi khobsorat lag rahy hoty hain aur Mujhy khushkhabri dety hain k Allah Ki taraf se Meri bakhshish ho gai hai aur main foran hi khawab mein Meri ankh khulti hai main khushi se Bohut ro rahi hoti hon aur Roty roty mamu k gher jati hon aur wahan pata chalta hai k mery behnoi ne kisi bachy ka qatal ker diya hai aur main Bohut parishan hoti hon aur essi parishani mein Meri aankh khul gai. Please ess Ki tabeer bata den. JazakAllah.

A: Aap apne saare rishtidaaro ke huqooq poora kare owr un ke saat acha sulook owr bartaaw kare. Tamaam kaam ku SUnnat ke mutaabiq karne ki kowshish kare owr gunaaho se parhez kare. Allah Ta'ala aap ku Deen ke lia qubool karenge. Paanch waqt ki namaaz apne Saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda ka ihtimaam kare.

Qur'an Shareef ka kuch hissa parh kar, ya kuch sadaqah dede owr us ka sawaab apne marhoom rishtidaaro ke lia bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels