Q: Maine aaj ek subha 7 - 7:30 ke darmiyan ek khwab dekha ki ek talaab hai jiska paani hara rang ka hai. Usme kuch machliya or kachwa (Tortoise) tair rahe hai. Waha kuch ullu bhi hai. Unme se ek ullu talaab me kud jata hai fir wapas bahar aakar meri taraf dekh k chillata hai..mera dost use bhagata hai to wo achanak chuhe (rat) me tabdil ho jata hai or kuch ghasitate huye waha se chala jata hai. Baki k ullu bhi mere taraf dekh rahe hote hai or chillate hai. Main unhe kuch kar nahi sakta kyoki mere pass mera beta hota hai jo ki so raha hai or mujhe dar lagta hai ke kahi wo palat gaya to niche gir jayega. Baraye karam is khwab ki tabeer bataye.
A: Allah Ta'ala aap ku halaal rowzi naseeb farmae owr shareero ke shar se hifaazat farmae.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: