Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhy do khawabo ki tabeer bata dein. Main dekhti hun ke main meri ammi meri 2 khala or unki beti ik jagah jaty hain to wahan aik naik bibi bethi hoti hain. Main peechy dekhti hun to Masjid-e-Nabawi nazr aati hy. Phr wo bibi meri khala ki goad main sherni rkhti hain or kehti hain k khao phr hum wozu kar ke aati hain or darood parhti hain. Phir fajr ke lye main jaag gae. 2nd ye bta dein k kisi ko Quran Pak prhty huay foat hoty dekhna ki kia tabeer hy jo zinda ho.

A:

1. Allah Ta'ala aap ko nek aamal karne ki taufeeq naseeb farmae aur sunnat ke raaste par chalna aap ke liye aasaan farmae.

2. Allah Ta'ala hum sub ko khaatma bil khair naseeb farmae. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels