Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe khuwab ki tabir maloom karni he. Mene khuwab mein dekha mere chacha ka ghar ho jsy badal thay saaf asmaan barish jaisa mausam khirki ke kareeb ja j dekha barish ho rai thi. Jo dur se nazar nhi arai thi. Phr darwazay k pas ka nazara tha k wahan gamley parey thay un mein Harrey poday lgy huwe thay esa lgta hy wo humre thay mein apni Ami ko kehti hun ye hum nhi ly ja sakte poday lgy huwe hen bki Jo Khali hen wo khobsorat design wale thay mein ek dosrey k andar dalti hun k ghar ja k es mein poday lga lenge yahan sy chaltey hen mjhy eski tabir bta dien bki kuch aur b dekha tha kch es tarah sy k mamu mere Jo Jeddah mein rehte hen unki family humre pas dawat py ai hy sb betiyaan bahu. 2 betiyaan hen 2 bahu sbko khana bht pasand ata hy dawat achi hoti hy kehte hen bs kal wapas ja rae hen Jeddah bari beti apny bacho k saath susral jati kehti jaldi din guzr gye kch es tarah sy tha. Tabir bta dien shukria.

A:

1. Baarish se muraad Allah Ta'ala ki rahmat he. Agar kooi Allah Ta'ala ki rahmat ka talabgaar he, to us ku chaahiye ke huzoor sallallahu alaihi wasallam ki mubaarak sunnat ke mutaabiq apne zindagi guzaarde.

2. Allah Ta'ala khandaan walo ke darmiyaan ulfat aur muhabbat paida farmaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels