Na mahram larki se baat karna

Q: Mene allah se raat ko sone se pehle dil me ye kaha tha ke ya Allah mujhe koi khubsoorat khuab aaj raat ko dikha jo teri tarf se ho naaki shaytaan ki tarf se phir mere uthne se pehle mene khuab dekha ki ek ladki jis ko main buhat chahta hu wo burke me apne walid ke saath scooter per ja rahi thi main bhi scootey pe tha aur achanak usko aur uke walid ko dekha baad me main achanak unke ghar ke paas puhanch gaya par wo waha nahi aaye ye khuab clear tha aur lamba nahi tha akhri baat mujhe ye arz karni hai ke wo ladki mujhe jaanti hai aur wo ladki jab main usko janta tha burka nahi pehanti thi main usko kehta tha ke dupatta pehna karo burka pehan karo par wo mujhe dekh kar kabhi kabhi muskurati thi aur wo muslim ladki hai please khuab ki tabeer bata dain.

A: Na mahram larki se baat karna jaaiz nahi he. Aap Allah Ta'ala se tawbah kare tumhre is ghalat suhbat owr taalluq se. Agar tum un se nikaah karne chahte to unke maa baap se baat kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels