Allah Ta'ala ki taqdeer se khush rehna

Q: Mere khwaab mein meine dekha ki mein kisi ki ghar jati hun waha dekhti hun ki ek choti si umar ki ladki kareeb 15 or 16 saal ki hai us ladki ki shadi hone wali reheti hai lekin wo ladki ko wo shadi pasand nahi reheti hai mein uske paas jati hun aur puchti hun aur uske haath mein blue colour ke bangles bohot khubsurat hote hai mein uske bangles touch karte huve puchti hun aur bangles kaha hai bolti hai dalungi sar par sirf duppata hota hai mein puchti hun ki ghunghat kaha hai ghunghat dalenge phir wo ladki mujhe bolti hai ap thoda sabar karlena tha aur ab ap kaisa rehere bolkar mujhe underestimate karke baat karti hai mein bohot roti hun aur bolti hun mein koi relationship mein nahi hun aur aj divorce ho kar ek saal hone aa raha hai aj tak mera koi boy frnd bi nai banayi mein koi ghalat rishte mein nahi hun bolke usko ek thappad maarti hun ulte haath se. Mein real mein kisi ghalt ya koi boy friend nahi hai mera relation hoga to sirf mere nikah ke baad wo bi mere shohar se aur koi nai. Mufti saab ap plz is khab ki tabeer batadijyea.

A: Muslmaan ku chaiha ke har haal Allah Ta'ala ki taraf ruju' kare owr Allah Ta'ala ki taqdeer se khush rahe. Agar banda Allah Ta'ala ke ahkaamaat poore karega to Allah Ta'ala ki madad us ke saat hogi owr Allah Ta'ala uski dushwaariyo owr preshaaniyo ku door karenge owr usku sukoon wali zindagi naseeb farmaenge. Banda ku chahia ke lowgo ki nuqta cheeni owr i'tiraazaat ki taraf tawajjuh ne de. Issy se wo ghamgeen owr pareshaan hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada