Q: main ny khwab main daikha k mery mamu zaad ki kal sal girah thi r wo mithai ly k atey hain apni biwi k sath thri dair main bethty hain r khana kha k chaly jatey hain phir main daikhti hun k meri aik dost jis ki shadi ho chuki hai aur wo hmarey parosi b hain usski us se choti wali behan kainat hmarey ghar mehandi k yellow kapry k baney huey cards ly k ati hai aur kehti hai yeah api ny ap k liye bheja hai ( hala k unka hum se kae salon se kuch gharilu maslon ki wajha se ana jana band hai ) main ny kaha uski shadi to ho chuki hai kainat(behan ka nam), us ny mujh se kaha k wo ab aisey he sab doston ko bulana chahti hain main kainat ko bitha k dusry kamry main jati hun ta k usko kuch penay ko doun to kitchen main ajeeb pani pani aur barf giri hui hai har jagha sheshay k glass upar nechy aik minar ki surat main pary hain un main b barf hai mera paon lagny ki wajha se wo nechy girty hain par tuttay nahi main ami ko bula k gussa hoti hun yeah kia kea hua hai main us kamry se bahir ati hun to daikhti hun k meri dost k ghar se mukhtalif kisam k khaney aey hue hain aur daikh k sochti hun khana to main kha chuki hun wapis kitchen main ja k glass dhndh k pani dalti hun to barf ni milti bht gandi hoti hai wo phr aik daby main thri c mill jati hai main ja k kainat ko pani denay lagti hun to wo phly se pee rae hoti hai mujhy lagta hai ami ny dea hoga aur daikhti hun us k sath bed py unki sab se choti behan aur aik chota bhai b so rahy hain wapis kitchen numa kamry main ati hun to wahan meri dost hoti hai uska nam sadia hai main us se mill k khush hoti hun aisey he hum dono batien kar rahy hoty hain apni aik aur dost k barey main, uski b shadi honay wali hai sadia ko btabti hun k hmari dost ka honay wala shohar bht acha hai.. phr achanak main sochti hun usay mithai khilaon... main jaha jati hun wahan b dhair tarha k khaney hoty hain main methai ly k wapis jati hun to aik dam light chali jati hai main apni dost ki trf dekhti hun to wo hawa main upar ki trf uth jati hai aur bilkul kali hoti hai aisey jaisey koi churail ho main se bht dard jati hun r kanpti hun to lagta hai k main soo rae thi aur ami mujhy apnay sath laita k apna bazu rakh deti hain mujh py.
A: Khaandaan waalo ke dilo me Allah Ta'ala ulfat owr mahabbat paida farmae ayk dowsre ke lia.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: