Ghalat salat lowgo ke saat nahi bethna

Q: Mene khwaab me dekha ke koi shaks Huzoor Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki acting Kar raha hai jaise islamic film bhi huzoor par bani hai magar usme huzoor ka chehra nahi dekhate par khuab me chehra clear tha Mene socha ke ye to buri film hai main us shaks kee kareeb betha tha soch raha tha ke shooting chal rahi hai Woo shaks kuch keh rahe the uss kamre me unke sahaba bhi the uss shaks ki darhi choti thi Khuab mujhe theek se yaad nahi magar phir un logon ne mujhe masoor ki daal gosht chaval ke saath diya aur mere dost ko bhi jo mere saath betha tha shaad Mene khana khaya tha Phil mujh se kuch ghalti ho gayi pata nahi kya unhone mujhko saza dene ka hukm de diya shaad phaansi Me rone laga uss shaks se bola (Jitna mujhe yaad hai) me nahi Janta tha ke aap Sach me huzoor hai main to film samagh raha tha phir unhone mujhe saza nahi di Unki sakl phichhle khuab see shayad alag thi jo mene aap ko bataya tha shaayad pechhle khuab me wo door the aur ab bahut kareeb. Please tabeer e khuab bata dein.

A: Ghalat salat lowgo ke saat ne beto owr tamaam mushtabah owr haraam cheezo se parhez karo (jaise cellphone, internet, TV, na munaasib akhbaar, buri suhbat, dowsre mazhab ke akhbaar, films, waghairah). In cheezo se aap ke Deen ku behad nuqsaan phonchega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada