Q: Ayk larki hai jis ki shaadi us ki maa ne zaberdasti ek ghalat insaan ke saath kerwaya tha. Jis pe naa larki or na hi us ka baao khush tha or na hi larki ne nikah qabool kia or na hi molvi ne larki ki razamandi poochi. molvi bhi jo nikkah k liye aya tha woh bhi koi orignal molvi nahi tha ek aam insaan tha. Woh ek jhoota insaan tha pehley se shaadi shuda tha us ne sirf apni aiyaashi k liye jhoota nikah kiya tha .20 din k baad woh dono alag ho gaye or phir dono kabhi bhi ek dosrey se nai miley. Us admi ne bas call ker k yeh kaha mein tujhe talak nahi doonga aisey hi zaleel keron ga. Phir un dono ka koi raabta nai hoa. Kuch arse ke baad us larki ki mulaqaat mere saath hoi or hum dono ek dosrey ko pasand kerne lagey or baat yahan tuk pohunch gayi k woh pregnent ho gai or dilevery bhi ho gai. Us k baad hum ne larki k gher waloon ki mojoodgi mein molvi saab ko bulaa k nikaah ker liya or ab 5 saal se ek saath hain or us se mere 2 buchey hain or hum saath hai. Mera app se yeh sawal hai k kiya mera nikkah jaiz hai? or ager nikkah jaiz nai hai to hamey kia kerna chahiye k hum gunnah se or Allah ki narazgi se buch jain. Aap is ka poora masla bata di jiye mein bohut pareshaan hoon is masle ko le ker. Iska poora hul bataiye ga ke hume kerna kia hai?
A: Pehle shohar se talaaq lelo. Agar talaaq dene ke oopar aamada nahi hota to maqaami jamiat ya ulama ki koi jamaat se apne haalaat ko sunaao.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: