Q: Main ek doctor hoon. Jab main kisi marez ko sonography ke liye ya blood test ke liye ya kisi aur doctor ka opinion ya salah lene ke liye bhejta hoon to aam dastoor ke mutaabiq wo sab mujh ko commission bhejte hain. Jaise misaal ke taur par ek marez ko sonography ke liye marez se 750 rupiye liye jaate hain jis me se 150 rupiye wo loog mujhe bataur e commission mahine ke aakhir me de dete hain. Alhamdulillah main ne aaj tak kabhi kisi se comission nahi liya hai balke main wo paise har marez ko wapas kar deta hoon. Mera sawal ye hai ke kya medical proffession me is tarah ka commission lena jayaz hai ya nahi? Baraahe karam mufassal jawab inayat farmaayen taake main wo jawab apne sabhi doctor doston ko bhej saku.
A: Aysa commission lena durust he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: