Q: Mei ek larhky ke sath shadi krna chahti hoon ghar waly bhi maan gaye hain or hopefully nov mei shadi ho jaegi. mei ne 2014 mein us ke liye istikhara kia or khwab kuch youn tha mei ek jga pe khrhi hoon bilkul andhery mein k achanak poora chand a jata asman pe or uski chandni mery gird phail jati hai. tbi mery dil mei aya yehi istikhary ka answer hai. 2nd time phir kia to wo khawb aisy tha ek bohat brha ghar hai bilkul white chmkta hua or usky samny kuch log hain jinho ne white arabic dresses pehny huy hain or phir mery pas silver jewellery hai bohat chamk wali. 3rd time b chand dekha khawb mein. phir 3 bar istikhara kia but kuch nzr nhi aya. last time mene 9 muharram ki eat mei kia to khwab mn black kprha nzr aya. ub mujhy kindly bta dein k is sab ka mtlb kia hai?
A: Khwaab par poor i'timaad ne kare. Ba'd dafa zehni khiyaalaat ki wajah se khwaab dekhe jaate he. Jis rishta ke lia istikhara ho raha he, wo dekh lia jae ke agar wo neak he owr us ke Deen, Akhlaaq owr aadaat achche he, owr larki bhi khush he, to rishta qubool kya jae.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: