Published 8 years ago
Last updated 5 years ago
Q: Namaaz ki har rakaat me kam az kam kitni aayaat parhni laazimi he?
A: Chaar rakaat ki fardh namaaz me pehli do rakaat me Surah Faatiha owr teen chowti aayaat ya ayk lambi aayat parhlijae. Fuqaha ne likha ke wo teen chowti aayaat ya ayk lambi aayat tees huroof se kam ne ho. Agar tees huroof se kam ho, to sajda-e-sahw waajib hogi. Fardh namaaz ki doowsri do rakat me sirf Surah Faatiha parhlijae. Sunnat of nafil namaazo ki har rakat me Surah Faatiha owr teen chowti aayat ya ayk lambi aayat parhlijae jo tees huroof ke baraabar ho.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: