Khwaab ki ta'beer

Q: Khwaab ki tabeer janna chahati ho. Apni beti ke sath road cross kar rahi th beti peche chal rahi thi mai ne road cross kar ke dekh ke beti peche nahi hai or kahi bhi nahi hai mai awaz dene lagti ho tu ek raha cross karte umar rasida shakhs ne kaha k kissi ne aap ki beti ko khech kar gadi mai betha kar zaber dasti legai. Ab wo le ja kar zabardasti shadi kar lengay. Mai pareshan ho jati ho k ab mai kaha dhondo or ghabra kar ankh khol gai.

A: Aap apni awlaad ku aapne se qareeb rakhe owr unke kaamo ke upar nigraani kare. Issy tarah ihtimaam kare ke wo gunaaho ke asbaab se mahfooz rahe (jaise cellphone, internet, TV, na munaasib akhbaar, waghairah) owr har waqt wo neak suhbat me rahe owr buri suhbat se door rahe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada