Dhaeef hadeeth

Q: Dhaeef hadees ke deen mai kia haiseeyat hain?

A: Meri rai ye he ke in cheezo ko jo samajhne waale ke supurd kardo choonke dhaeef hadeeth eik istilaah aur uska eik hukm he aur kabhi uska ka ta`alluq ahkaam ke saath hote he kabhi uska ta`alluq aqaaid ke saath hote he kabhi tafseer aur kabhi tareekh se hota he aur sab ke ahkaam mukhtalif he. Lihaaza aap seedhe saadhe musalmaan raho. Jo masaa'il aapko ma`loom nahi, jo fardh aur waaibat aur sunnate aapko ma`loom nahi usko poocho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels