Q: Hamaara nikaah ho chuka hai, lekin abhi meri wife apne ghar par hai. Rukhsati abhi nahi hui hai. Jab se talaaq ke baare me fatwa sune hai aur kuch video dekhe hai tab se mere mind me baar baar ek hi sawal aa rha hai ki agar hum aur juban pr bhi agar kabhi hum bhi agar talaq ki neeyat krenge to hmara bhi talaq pad jaayega ya meri wife ko talaq ya hum kbhi neeyat bhi kiye ki hum apni wife ko talaq denge agar neeyat bhi talaq ki krenge ya talaq dene ki neeyat se kabhi kuch bolenge yaa kbhi neeyat krenge ki hum apni wife ko talaq denge to humara bhi talaq pad jaayega yhi sab baat mind me aur juban pr aa rha hai akele me khud se baate krte rehte hai sar to Kya is se humara talaq pad gya to kaun sa talaq pad gya ya kitna talaq pada kyu ki abhi tak hum apni wife ko talaq nhi diye hai lekin jab se talaq ka fatwa sune aur kuch youtube pr video dekhe haib yhi sab baate soch rhe hai. Isi liye hum apni wife se jyada baat nhi kr rhe hai kyu ki agar ye sab us time mere mind me aa gya to humara talaq pad jaayega. Hum kya kre kuch samjh me nahi aa rha hai.
A: Mind me aane se talaaq waaqi nahi hota. Agar zubaan ke oopar aaya to talaaq waaqi hojayega.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: