Q: Me kaan me baali is liye nahi pehnti ke wudhu me kaano ka sahi se masah karna hota he magar kaano ka masha to farz nahi he agar me us jaga masah na karo jahan baali ho to kiya wudhu ho jaye ga. Muje nuqsan ke baare me poochna he ak to wo hota he jis me hamara bilkul bhi bus nahi hota or aik aysa jis me hamari ghalti bhi shaamil hoti he. Kiya ye bhi Allah ki taraf se hota he? Kia is pe bhi hame ajar milay ga? Jab meri ghalti se koi nuqssan hota he to mujhe bohot ziyaada pareshaani hoti he. Baraaye meherbaani rehnumaai karen jis se muje itminaan mile me is baare me kiya imaani soch rakho jo Allah ke yaha maqbool ho? Muje ye bhi poochna he qismat me jo ho wo mil ke rehta he kuch lowg ye sowch ke wo bhi chor detay he jo un ko kowshish se mil sakta he jeyse koi kuch de raha ho agar ap us se mange to wo mil jaye ga nahi mangay to nahi mile ga kiya ye bhi qismat me he? Kuch log khuddaari or sharm jhijak ki wajah se nahi mangta or sochte he ke qismat me huwa to mil jayega kiya ye bhi qismat he. Baraaye meherbaani muje waazih towr par bataye or ayse mowqe par kiya karna chahiye. Khuddaari ka amal Allah ke nazdeek keysa he?
A: Kaan ka masah agar na kya wudhu hojayega albatta sunnat ko chorne ki wajah se baat buri aur ghalat he.
Nuqsaan se kabhi gunaah maaf hote he kabhi raf`e darajaat hote he.
Allah Ta`ala se maangna chaahiye. Doosro se nahi maango.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: