Q: Jab me wudhu karti hu to masah bhi is tarah karti hu ke koi baal bhi na rahe sar ke jab peechay se waapas agay pesahaani tak hath nahi laati kyunke istarah saare baal kharab hojate he is liye hatelion se kaan ke peeche sar ka hisa hota peshaani tak waha par masah karti hun. Aur kaano ka bhi agay peeche har ayk hissa ka sahi se masah karti hu aur gardan ki pusht ke kaano ke neeche tak or jahaan gardan khatam ho ti he poori ka ayk ayk baal ka masah karti hu na karu aysa to itminaan nahi ho isliye muje boht der lag jati he wudhu karne me 10 se 15 minute. Kiya bilkul isi tarha wudhu karna chahiye ke masah me bhi ayk baal khushk ne rahe. Agar koi asaan tareeqa he ke wudhu bhi kaamil ho to baraaye meherbaani bata dijiye. Muje bohat mushkil hoti he.
A: Ye tareeqah sunnat nahi. Mahaz bheege haath ko pher dena ye kaafi he. Ye paanch second me hota he. Aap jo kar rehi he woh khilaafe sunnat he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: