Halaala

Q: Mera sawaal yeh hai ke mere bhai ne apni biwi ku do saal pehle teen talaaq ek saath di thi, phir ayk sahab ne kaha ki teen talaq ek hui tum ruju kar lo usne ruzu kar liya aur dino log sath rahne late sauhar biwi ki tarah do saal baad usse pata chala ki yeh galat tha ab woh dono sath rehna  chahte hai. Mere bhai ne apni ka halaala nikah apne dost se turaant karwa diya. Kya uski biwi ko iddat poori karni chahiye thi?

A: Jis awrat ke khaawind ne us ku teen talaaq de di, to fowran nikaah tootjata he owr awrat khaawind ke upar haraam hojati. Jabtak halaala ne hojae to wo phele khaawind ke lia halaal nahi hogi. Halaala ki tafseel ye he ke jab awrat iddat se faarigh hojae, to wo kisi owr se shaadi kare owr dowsra showhar us ke saat humbistari bhi kare owr jab doosra khaawind mar jae ya talaaq dede to phir awrat dowbadar iddat me bhetegi. Jab iddat ka zamaana guzar jae, to agar awrat owr us ka phla showhar dowbara shaadi karna chahe, to shaadi kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels