Halaal kamaana

Q: Me apney ami abu ko umra pe bejna chahta hoon lekin me Norway me ek shop pe kaam karta hoon jis me khinzeer ka gosht bi hey or muje us ko benana bi hota hey to kya mere passey halaal hain ya nahi?

A: Jab khinzeer bana kar bhejte ho to aapka payse halaal kayse ho sakta he. Behtar ye he ke is kaam ko chor hee do aur agar eik dam usko chor nahi sakte to kisee se udhaar le karke umrah ko jaao.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels