Khwaab ki ta'beer

Q: Mere 4 bacche hai. 1 beti jo sbse bari hai aur 3 bete... mujhe aisa khwaab dikha ke mere shauhar mujhe phn kr ke police station aane kehte hai aur main ghabra kar police station jaati hu aur unhe bolti hu ke hum yaha unhi logo ki complaint krne aaye hai na jinhone humare baccho ko maarne ki dhamki dii...halanki ye dhamki dete hue mujhe kuch khwaab me nhi dikha bass itna dikha ke main aisa bol rhi hu...utne me mere dusre nmbr ka beta bhaagte hue aata hai aur uske chehre pr bht ghav hai zakhm hai chaaku se maare hue main ghabra kr usse puchti hu kya hua utne me humare ek relative batate hai ke wo log aaye the jinhone dhamki dii ise itna maar diye aur aapke bade bete ko jaan se maar diye uska intekaal ho gya ye bach gya...aapse guzarish hai please mujhe iski taabeer bata dijiye.

A: Aap apni aulaad ku naseehat kare aur targheeb de ke wo hamesha nek logo ki suhbat me rahe aur ghalat suhbat aur buri dosti se bache. Ghalat suhbat se insaan ghalat aur ghunna waale raaste par chalega aur bilaakhir pachtawega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada