Nikaah ke waqt shart lagaana

Q: Nikah k waqt larki walay nikah nama me condition likhwatay hen k larka larki name per 10 marlay ka makan dey ga, dosri shadi ya talaq denay per 5 lakh ada kray ga. kia ye islam me jaiz ha?

A: Ye agar mahr ke tor par usne kaha ke fala sifat ka makaan dega to makaan dena dharoori he. Aur ye shart lagaana ke fala kaam karne ki wajah se me aapko ye doonga ye eik qism ka jurmaanah he aur is qism ka jurmaanah ka poora karna dharoori nahi balke durust nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)