Signing talaaq papers

Q: If husband give talaq on paper through court. And that talaq paper called talaq e salasa. And both husband and wife both sign that paper. Iss sorat mein kia talaq ho jati hy . I mean kia wife husband k paas wapis ja sakti hy ya nhi. Jb k talaq ka procedure dono husband wife ko pta b na ho sara wakeel ny krwaya ho. Phir iss sorat mein kia talaq ho jati hy ya nhi.. jo talaq court k through hoti hy us mein court at least 3 baar moqa zaror dyti hy pr ye talaq aik hi dafa mein wakeel ny krwa di hy ab iss ka koi hl ho sakta hy k nhi

A: Agar showhar sign kare, to talaaq hojaegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

(Scroll down for more information regarding this question)

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: I have already asked question talaq e salasa. Agr kisi ki intension na ho talaq dyny ki. Aur lagy k meri bv talaq lyna chahti hy aur bv ko lagy k us ka husband talaq dyna chahta hy aur dono court ja kr talaq e salasa ka paper sign kr dain. Aur husband ny mu sy na bola ho k main talaq dyta hon. Sirf wirtten paper sign kiye hon. Aur court ka talaq procedure wakeel ny btaya b na ho. Bs jaldi jaldi talaq ka kaam krwaya ho to kia iss sorat mein talaq ho jati hy? hamary case mein aisa hi hua hy. Talaq e salasa likhwaya hy wakeel ny. I divorce u ye word 3 baar nhi likha aur aik paper pr sign ly liye.. Aap k aik question k answer mein likha hy k agr husband written talaq likhy aur verbaly na boly to talaq nhi hoti.

A: Agar showhar ne sign kya, to talaaq hogayee.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)