"Tume aazaad kar rahaa hu" se talaaq waaqi hogi?

Q: Shohar ki baat biwi nahi manrahi hai shohar ke laak baar manaa karne par bhi biwi apne mai ke waalon ko hi shouhar se zyaada ahmiyat de rahi hai our shouhar ki har baat biwi apne mai ke waalon ko bolrahi hai. Tab shouhar ghusse me biwi ko kahaa ki my tume aazaad kar rahaa hu tum apni ma ke paas hi raho. Magar shouhar ki niyyat biwi ko samjhane ki thi laikin talaak ki niyyat nahi thi kya is baat se talak hogi.

A: Agar aapke yahaa urf ye he ke in alfaaz se aammatan talaaq hoti he to talaaq-e-rajee ho jayegi. Owr agar aapke yahaa urf nahi he, to showhar ki niyyat par mawqoof he. Agar in alfaaz ke bowlne ke waqt us ki niyyat talaaq thi, to talaaq-e-baain hojaegi warna talaaq nahi hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels