Khwaab me tufaan dekhna

Q: Me ne khwaab mn dekha ke aasman se toufan aa rha hai. Jab qareeb pohanchta hai to pehly to mn bhagny ki koshish krta hun phr koi aadmi mana krta hai ke bhagny ka koi faida nhe hai to hum ek dusry k hath mn hath pakr ke khary ho jaty hn or mn aasman ki trf muh kr k kehta hun Ya Allah Khair. Wo toufan samandari toufan ki trha hota hai. Phir jb wo zameen py aata hai to humy bahata nhe hai. Es khwab ki kia tabeer hogi?

A: Ye zamaane ke fitno ki taraf ishaara he. Is pur fitan zamaane me, aadmi ku chaahiye ke Allah Ta'ala ki taraf rujoo kare aur ghunnaho se parhez kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels