Aurato aur purdah ke kuch sawalaat

Q:

1. Kia aurat eye specialist ky samny chehra khol sakti hai?

2. Kia bazar mn aurat is tarha jasakti hai k surf us ky hath, paer aur chehra khula ho baqi sab dhaka ho aur iss tarha jany mn koi fitna b na ho?

3. Kia aurat jhan rhti hai iss ky pass ky ghroon wale uss ky rishtadar hoon aur wo iss ky ghar aaty hoon to kia jb wo inn bilkul sath wale ghroon mn jae ya apny pas ky khaeton (khaet yani k village mn rhti hai aur wahan tb amoomn ghir mahram b nhi hoty) mn jae to chehra khula rakh kr ja sakti hai? Kia ye jaiz ho gha? Jaiz aur najaiz hony k mutaliq zaror btaye gha.

4. Kia aurat aesi jagha se ghuzry jaha usse ghair mahram na dekh rhy hon ya wahan ghar mahram na hoon to kia wo wahan chehra chupai baghair ghuzr sakti hai?

5. Kia jo ghir mahram rishtadar hoty hain wo ghar aaei to in se chehra chupana hai? Agar na chupana jaiz hai to bta digiay? Kia ghair mahram rishtadar k samny ghar k ilawa chehra khula rakh sakty hain i.e jb unn ky ghar jaaen, tasty mn wo nazar aa jaen?

A:

1. Koshish kare ke aurat aurat specialist ke paas jaaye.

2. Chehra ka daampna dharoori he aur haath bilaa dharoorat khula ne rakhni chaahiye.

3 - 5. Na-mahram ke saamne chehra ko daampna chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)