Q:
1. Zaroori hai ke hum ya to Sunni hn ya Deobandi ya Ahle hadees? Me apne apko just aik true Muslim samajta hn I don't follow any one to kia kisi firqe ko hona zaroori hai Islam me ya as a Muslim samajna kafi Quran or Hadees pe amal karne wala?
2. On the day of hereafter kia is bare me sawal hoga ke kis firqe ko follow kia hai n kin Ulamao ko n konse Mufti se sharai masail pochte the?
3. Jo shaks jis firqe ka hoga "Sunni, Deobandi or Ahle Hadees" to uske Ulama karam n Mufti sahab jo follow karte honge us base pe uska hisab kitab hoga and agar Ulama galat tariqa follow karte the to kia uski saza us shaks ko bi milegi?
A:
1. Masaa'il wa ghayrah kisee mu`tabar tajraba kaar parhezgaar aalim se pooche. Atkal se koi kaam karna ye be-deeni he.
2. Ye poocha jaayega ke kisee mu`tabar deendar aalim se poocha ke nahi.
3. Jawaab oopar aa chuka he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: