Shohar ke saat rehna

Q: Mai ik ansari ldki hun.ur ik kunjra ldke k sath me iK computer center PR parate thi .mere ghr walon se bi uske ladke se achche talukat bn gye.fir hm dono ne apne abbu ki razamandi lekr dono ne partnership me center khol liya.ur wahi PR ik sath parate huge hum logon me muhabbat paida ho gyi .WO 5 waqt namazi tha ur bhi achchi khubiyan this .fir hm logon ne nikah kr liya.ldke ki ma ki majudgi me.jbki Maine apne parents ko nhi btaya that.merit umer us wqt 28 sal ki thi.nikah k 9 mahine k bad.Maine apne ghr walon ko bta diya .to mere ghr walon ne talaq ka dabao bnaya .mgr mere shouhr ne court me notice de di .tb mere walid ne 3 sal k bad rukhsati ka time diya.ab WO us bat se mukr rage hai.ur mera shuhr bahut presan hai.kyunki unki walida sirf bachi thi unka bhi intekal ho chuka hai.mera shouhr mujhse chale ane ko kah raha hai .ur meri ma ne dhodh Na maf krne ki dhamki di hai AGR mai apne shuhr k pas gyi to...mai talaq nhi Lena chahti hun.ur ghr wale sirf ur sirf biradri ki wajah se aisa kr rahe hai.mere abbu yahan tk mere shouhr she kah diye hai ki tum dosri shadi kr lo ya talaq de do. ..meri ghr pr koi bat nhi sun raha na hi kahi jane ki ijazat hai......allah ke waste koi mswara den.mai apne shuhr k bagair nhi rah skti hun.

A: Jab aapke walid ne apne shohar ke paas rehne ki ijaazat dedi to uska matlab ye he ke woh aapke nikaah se razamand he. Aur agar woh aapka huqooq aur nafaqa bardasht karta he to unke paas chale jaane me koi gunah aur ye bhi uska haq he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)