Q: Main ne aaj raat ek ajeeb khowab dakha. Dakhti hun k main or meri walidha (jo kinda hain bafazal e Ta'alla) ek janaza pe mojood hain logon ka hajoom hai jo janaza pe aye hain. Khowab main jazana main bethaye hue logon main se koi kahta hai tmhare chacho chahi or phopho Aircrash main foat ho gaye hain. Mara dil pathar ki taraha ho jata hai mere aansoo nhe nikalte. Baqi sab ro rahaye hote hain. Pir mje walida kahti hain miyatian uthane lagaye hain tm b cheeraye dakh lo. Main dakti hun. Meri sab se bharaye chahcho unki biwi, mere sab se chotaye chacho or unki biwi or mere 5 no wali chacha ki miyat pari hoti hai or meri 2 no. Wali phopht nisar Fatima ki meyat b wahan pari hoti hai.( mere ye sab chacha or unki biwian zinda hain or meri phopho b abi zinda hain) mayitain sahi hoti hain. Meri ankhon se ansoo nikalte hain main bht roti hun or apnaye bharaye chacha ki mayat k pass jati hun. Main miyat k sarhane beth jati hun or chacha ka sarhane sar rakh k rotaye hue kahti hun app kyun chalaye gaye. Chacha ki miyat zinda ho jati hai wo mje batne lag jate hain kiya waqai hua tha. Pir dobara miyat ki tarha murda ho jate hain. Main aanson k sath beawaz roti jati hun. Pir meri ankh khul jati hai or meri gall pe aansoo hote hain. Clock pe time dakha to suba 4:20am ka waqat tha. Mufti sahib main iss khoawab ki waja se bht pareshan hun. App mje iss ki tabeer bata dain. Allah app ko iss ka ajar dain.
A: Khwaab me kabhi marne se muraad safar karna he. Mumkin he ke aap ke rishtidaar kahi safar karne waale honge.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: