Q: Mra aik class fellow mjy pehly bhi shadi k lie approach kr chuka hai or mai ne inkar kr dia tha. Mry parents kafi preshan hain rishty ki wja se or mry usi class fellow ne dobara zabani bat ki ha abhi rishta ni bhjwaya ye srf bola ha k mai bhjwana chahta hn mai nay abi koi han or na mai jawab ni dia k bhjwa do. Mri ami ne istikhara kia ha k kia hum is ko rishta lany dain ya nai isko check krain ya nai to unho ne khwab mai dekha k mri ami khi ja rhi hain or un k sath aik bachi ha 3 saal tk ki or wo unhain school ka sabak suna rhi hain phr wo dekhti hain jesy us bachi ko thand lg ri hai or uski tabiyat kharab ho rhi hai to mri ami usko goud mai utha lti hain ..koi bnda mri ami k pechy chal rha hta ha to mri ami usy chadar mangti hain to wo aik pink rang ki chadar deta ha jo asal mai jab mai choti thi to mri ami cot bed mai dalti thi thora or agy ja kr mri ami usi bndy ko kehti hain tum jao ab mra ghar nazdek hai phr wo bnda agy se kehta hai mai ne khana b nai khaya lekin mri ami dant k usko bhjwa dti hain or mri ami k zehan mai hai k bachi ki tabiyat nai theak to mai is ko doctor ko dikhao gi or bachi thnd se neeli oe hai or mri ami k dil mai ye malal hai k us bndy ne mri madad ki ha or mai n usko dant dia phr unki ankh khul gai
A: Aap us larke se baat ne kare. Na mahram larki owr larke ke darmiyaan talluq rakhna jaaiz nahi he. Agar wo rishta bheje owr aap owr aap ke ma baap us larke ke Deen owr akhlaaq se khush he, to qubool karle.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: