Khwaab

Q: Me kaafi pareshan hon kio ke mene kal rat ko buhat acha khuwab dekha lekin pareshan is waja se hon k me na pak tha me apko batata ho k kiya hwa mere sath me rat ko sone se pehle kuch fahashi vdio dekh rha tha k me apne nafs par kabo na kar saka or gunah kar behta apne hath se or me osi halat me so geya na paki ki halat me or phir mujhe khuwab aya k me madina munawra me namaz phar raha hon or log mujhe keh rahe he bus thori dor yaha se kabba he lekin os waqt mere hath me ghari thi jo masla kar rhe thi jis waja se mera dheyan namaz me kam or ghari par ziyada tha or me os ghari ko chek karta hwa masjid se bahar a kar sath ek shop me jata hon or khuwab khatam or wohi se dosra khuwab atta he k ek buzorg orat hathon se chal rahi thi kio k oski dono tange nahi thi wo dono tango se mazor thi me unse kehta hon k app kese he wo kehti he me tu mar gai hon or me oska chehra dekhta rehta hon or wo phir kehti he k me is bar hajj par ja rahi hon or khuwab khatam bus muffti sahab mere is khuwab ki sahi tabeer bata den take me kuch pareshani se bahar ao allha apko iska ajjar dega or ek bat or me out of cuntry hon akela rehta hon shadi shuda hon faimly pakistan me he or me bahar hon job karta ho.

A: Apne gunaaho se tawbah kare owr pukhta azam kare ke aainda tum ye gunaah nahi karenge. Khwaab ke andar ghari ka dekhna is baat ki taraf ishaarah he ke zindagi mukhtasar he. Jo kuch neaki aadmi kamaasakta he, issy me usku kamaana chahia. Lihaza aadmi ku chahia ke Allah Ta'ala ke farmabardaar hojaai owr gunaah waali zindagi chorde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels: