"I am leaving you" se talaaq?

Q: Mera sawal yeh hai k mri shadi ko 3 saal hone ko aye hai or shru k saal ma main or mre shohar bht arguments krty thy wo bht ziada short tempered hain..aik br arguments ma main me unhe kaha k ab hm sath nahi reh skty ap 3 lafz bol k decide kr len..mre or un k mind ma sirf yahi concept th k jb tk mard 3 bar saf saf talaq ka lafz ni bol de talaq ni hti talaq bain or kinaya lafzon ka koi co cept kabh tha he ni or unhe ne mjhe sirf threaten krne k lie unintentionaly kaha k i m.leaving you..jb k un ki niyat bh ni th divore ki or n mri niyat th divorce lene ki...or na he hamare ilm ma ye bt th..to Allah tala to bhol chok ma.hue gunahon ko maaf krne ka kehta h to la ilmi ma kie gaye is gunah ki kia haisiat ha? Aik or argument ma main ne dobara yahi kaha k ap 3 lafz bol den unho ne kuch ni kaha even talaq ka "t" bh ni kaha or mjhe darane k lie kaha k 'main ne bol dia' jb k unho ne na dil ma aisa bola na mun se kaha or na un ki niyat ma tha aisa sovchna or bolna...te sb jo kuch bh hua lailmi ma.hua na he niyaten tha na he donu k ilm ma....plz hamari rehnumai farmaiye...

A: Jis waqt unhowne kaha "I am leaving you" agar talaaq ki niyyat nahi thi, to talaaq nahi huwi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: