Aayat-e-Shifaa khud parh le ya kisi se parha ya jaaye

Q: Kareeb ek month se mai kafi bimar hon ilaj bhi chal raha hai meri badi behen ne mere liy ayete shafa padhna shuru ki dusre din meri behen ki tbiyat kharab ho gyi to unhon ne socha pta nai meri tbyt kis wjh se kharab hai to unhone ayete shafa nai padhi mere liy 1 ya 2 din hi padh k chod di... phir kuch din baad unhon ne phir se mere liy ayete shafa shuru ki to phir se usi tarah unki raat me tabiyat kharab ho gyi to maine kaha aap rehne dein mai khud hi padh longi... Mai janna chahti hon ki aisa kuin ho raha kya mere upr koi asrat hain jis ki wjh se aisa ho raha ya koi jadoo waghaira k asrat ho skte hain... Ek baat main aapse aur puchna chahti hon asal me mere ghr me achanak bauhat tez khusboo ati hai jaise itar ki shihi puri gir gyi ho aksar mai jahan pe baithi hoti hon wahi pe but pure kamre me nai bs thodi si jagah pe ati hai khusbo. aksar jb mai khana pka rahi hoti hon to kitchen me ane lgti hai khushboo aur jb mai kitchen se bahar nikal k check karti hon to wahan pe nai hoti zra si bhi khusboo... please Iske baar me bhi btayein aisa kuin hota hai..

A: Saheeh kaha ke khood karlenge. Aap uski fikr ne karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: