Mahdi (radhiyallahu anhu) ka zuhoor

Q: Ek bayan mein ek Mufti Saheb kehte hai ke Imam Mahdi Raziallahu Anhu ka zahoor kisi bhi waqt ho sakta hai

1. Hamney sunn rakha tha ke Imam Mahdi R.A Hajj ke din'no mein ayenge.. kya hamney galat baat suni thi?

2. Jaisa ke ab media ka propaganda sahi ko galat dikhata hai kya zahoor e mahdi ke waqt bhi media aur liberal afraad se aisa hi karne ka andesha hai?

3. Imam Mahdi R.A ke zahoor ke baad Jihad ki kya haisiyat hogi? Fardh e ain sab par?

4. Jaisa ke ab fraud jihadi jamaatein bahut hai naek khayal musalmano ko marwane ke liye. Kya zahoor e mahdi ke baad bhi aisi jamaatein nikle gi?

5. Kya aap mujhe jihad ke fiqhi masail wali kitab tajweez karsakte hain?

A: 

1. Unka zuhoor ka waqt maloom nahi lekin unka zuhoor hoga dharoor.

2. Jis tarah se chor aur dakoo ka andesha hota he albatta logo ko maloom hojata he ke ye chor he ye dakoo he aur ye saheeh aadmi he.

3. Jis tarah woh farmaayega.

4. Jab woh haq par qaaim honge to jo unke saath honge wo haq ke oopar honge insha-Allah.

5. Aap ke aas paas jo ulama ho unse rujoo kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels