Jannat naam rakhna

Q: Mere ghar beti paida hoi hai meri mother uska name jannat rakhna chati hai. Kia hum jannat name rakh saktey hai Q ke jannattul firdous hota hai aur mera name owais hai to yeh jannat owais hoga. Jannat aik bohat hi ala jaggah hai. 

A: Naam ghalat nahi he. Lekin is naam se behtar ye he ke pehle zamaane ke neak lowgo ke naamo me se koi naam bachchi ke lia rakha jaai jaise Faatima, Aaisha, Aamina, Hafsa, waghairah.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels