Q: May thora masle may hon... Bt ye ha k meri ek frnd ki frnd ha ju Christian ha wo 80% Islam ku sahi manti or may uski or help kar raha hn use har tarhan se smjha raha hn reference de de k meri he frnd uske b thora thora bta rahi ha lekin mera uski life may ane se zada asar hua ha is taraf... Ab masla ye ha k may abhi parh parh raha hn or wo bhi to agr wo ainda wakt may mere hath pe kamla parh leti ha... Wo Karachi hotu ha mayne Lahore to kya maslihatun Islam may rah k wo ghar walun k sath church ja sakti ha? Kyun k uske ilawa koi hal nahi... May apne ghar walun ku itni aram se smjha paonga ab kya karun.. May, aj k society le lehaz se dekhen tu maa baap kahte hain k kamane wala hojao phir shadi lekin mera different mamla na... Bohat pareshan hon kya karun. Meri planning y3 ha k use pura satisfy karne n bd jb musalman karunga to wo may ye plan kia ha k maslihatun wo church jae or bs wakt nikale inshallah sahi wakt dekh k nikka inshallah karunga ab baten kya kaun? May ghalat hn ya sahi? Wo larki ha ghar hoti ha agr wo bta degi to jan ka khatra ha.... May chahta hn jan b bacha jae Muslim nasal ku b masla nw ho plz muje baten... may 22 ka hn wo 19 ki
A: Islam me kisee ke oopar dabaao nahi. Woh agar Musalmaan honi chaahti ho to dil kholkar Musalmaan honi chaahiye. Ye darmiyaani soorat achchi nahi ne idhar ke rehti ne udhar ke. Ne Islam ke saath wafaadaari aur ne Esaaiyyat achchi tarah qabool karti he. Lihaza ayse logo se kinara kash rehna chaahiye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: