Published 7 years ago
Last updated 7 years ago
Q: Mere sawal yah ha k shohar aur biwi k darmyan ikhtilafat hon wo naraz ho k miakay bethi ho aur shohar usko phone pr aik talaq de deta ha phr wo abroad chala jata ha aur 6 months tak wapis ni ata aur na biwi se rabta karta ha to iss soorat main kya hukam ha shariat main... 6 months bad wo mia biwi hain abb b ya talaq hogaya? Aur agar shohar sulah kr k biwi ko wapis lay k jana chahta to kya hukam ha aisi surat main??
A: Talaaq ke bad agar showhar ne iddat ke dawraan me biwi ku apne nikaah me waapas nahi liya aur iddat kuzar kayee, to biwi us ke nikaah se nikal gayee. Ab agar dono milna chahte, to doosra nikaah parhaana hoga alag mahar ke saat.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: