Talaaq kisi shart par mu'allaq karna

Q: Eak bhot bada gunha hua hai mujh se plz mujhe jald azjald kuch rhenumayee karen

Shadi ho k baad bivi k bf k barey ilm hua tab hi bivi se kha ki aaj k baad ager tu us se mili baat kari ya salaam dua kari dekh kar hansi to tera mera rishta khatm. Nikha tut jayega iss baat k khene k eak hafte me wo shart puri hagyee us wakt mai khood mjood tha bivi k sath mager thode fasle per in sab baton ka ilm nhi tha hum dono sath hi rhete they miya bivi ki tarha teen haiz guzrne k baad hamal ka test kiya to pata chala ki bivi hamal se hai us k baad bhot zada mali pareshani or ghar me be sokooni hone lagi choti chti baton per jhgda hota tha fir 5 mahine guzarne per bivi ko teen talak mashroot diya kisi k ghar jane per wo bhi akele wo shart bhi eak muddat tak thi baccha hone tak bivi kheti hai shart puri hochki hai baccha bhi hochuka hai lekin jab shohar ne jin logo k ghar jane per teen talak kha tha wo log khete hai wo akele kbhi nhi ayee or kisi k sath bhi baccha abhi baap k pass hai bivi ghar walon ne jiss din baccha hua ussi din bacche ko la kar de diya doodh bhi nhi pilaya maa ka ab dono shohar wapes lana chata hai bivi ko kya begair halale k bivi ko nikha me la skta hai or jo gunha hua hai us ka kaffara kya hoga or mai sari baat batana chata tha mukami muftiyaan se mager zena hota rha or zena se bacccha bhi hogaya Mai bhot pareshan hun kya krun khud ko khatm karna chhata hun.

A: Agar yaqeen ho ke shart paaya gaya to talaaq waaqi ho gayi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)