Q: Mujhe 3 mahine se haidh mn beqaidge ke shikayet hay. Pichle mahine 19 October se namaz shrou ke thee. Dr ne haidh ko regulate krne k liye dawa de jo 24 October se shrou ke or 13 November tk (21days) tk kha k rok dene hay jis k baad haidh shrou hona chaye. Maslah ye hay k 9 Nov ko asr k waqt maine green colour ka pani dekha, phir 12 Nov ke zuhr mn dekha jo bohot he halka peela mehsoos horha tha (agr bohot ziada ghor se dekho). Jb k baqe waqt safaid pani he ataa rha 13 Nov ke rat 10:30 pe phir light green colour ka pani dekha.
1. Kia 9 Nov se haidh shumar kia jayega jb k ye pani musalsal nahin arha tha.
2. Dawa chorne k baad lazmi khon aye ga to kia wo istehaza mn shumar hoga baqe k 10 days nikal k agr waqi 9 Nov se haidh k din shumar karen to?
3. Haidh ka jb se maslah hua hy bar bar wehem hotay hn, aise mn kia krna chaye?
A:
1. Haidh hoga.
2. Is moujoodah haidh ke ba`d aap apna purani aadat ko dekho. Agar purani aadat ke muwaafiq khoon aaya to isee ko haidh shumaar karo aur agar khilaaf ho to bataaye.
3. Maloom karne ki koi dharoorat nahi he. Ye koi gunah ki baat nahi. Apna mamool ke muwaafiq kaam karo.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: