Q: Agar kisi shakhs ki bibi mar jaye to kya uski (bibi ki) maut ke bad uski (bibi ki) bahan se nikah kiya ja sakta hai. Mere dada ne unki bibi ki maut ke bad uski bahan se shadi kiye the, agar ye allow hai to please kuchh hawale de de jisse court me sabit kiya ja sake ki shariyet me izajat hai.
A: Bayak waqt do behno se shaadi karna jaaiz nahi he. Quraan aur hadith shareef me us ki mumaana'at aayee he. Lekin agar eik behen mar jaaye ya shohar us ko talaaq de (aur wo iddat bhi guzaar de) phir shohar us ki behen se nikaah kare to jaaiz he. Rasulullah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki saahibzaadi Hazrat Ruqayyah (Radiyallahu Anha) Hazrat Usmaan (Radiyallahu Anhu) ke nikaah me thi. Un ke intiqaal ke bad, Rasulullah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne apni doosri saahibzaadi Hazrat Umme Kulsoom (Radiyallahu Anha) ka nikaah Hazrat Usmaan (Radiyallahu Anhu) se parhaaya.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: